Monday, 15 August 2011

Mujhme jo kuch acha hai,
sab uska hai,
Mera jitna charcha hai,
sab uska hai,
Uska mera rishta bara purana hai,
Maine jo kuch socha hai,
sab uska hai,
Meri akhe uske noor se roshan hai,
Maine jo kuch dekha hai,
sab uska hai,
Jitni bar mai tuti hun,
wo tuta hai,
Idhar udhar jo bikhra hai,
sab uska hai....!

No comments:

Post a Comment