Kyu Tum Ne Aisa Kiya,
Kyu Khud Se Juda Kiya,
Aisa Kya Gunah Hua,
Kyu Itna Nazro Se Gira Diya,
Na Dil Tuta Na Aanso Gire,
Bus Aankh Se Lahu Beh Gaya,
Kuch Keh Na Saki,
Kuch Puch Na Saki,
Kyu Itna Paraya Kar Diya,
Mohabbat To Mohabbat Hai,
Kaha Badalti Hai Apni Jaan,
Mai Ne Har Khushi Ko Aaj Bhi,
Sirf Tumhare Naam Kiya....!
No comments:
Post a Comment