Wednesday, 17 August 2011

Ab ansu ko ankho me sajana hoga,
Chirag bujh gaye khud ko jalana hoga,
Na samjhna ke tumse bichad ke khush hai,
Hame logo ki khatir muskurana hoga,
Phir shaam dhal gai tum aye na aaj bhi,
Dil ko aaj phir ummeedo se behlana hoga,
Wada khilafi kar ke muskurate ho aap,
Dekhna ek din sanam apko pachtana hoga,
Lahu se apne kafan pe tera naam likh jaungi,
Tham ke haath me phool tumko ana hoga,
Abhi se na kejiye na ane ka bahana,
Abhi utthna hai janaza kandha to dena hoga,
Muddato kiya hai tera intezaar humne,
Umar kat chuki hai ab to hame jana hoga....!

No comments:

Post a Comment