Dekh lo khowab magar, khowab ka charcha na karo,
Log jal jayange suraj ki tamanna na karo,
Waqt ka kya hai kisi pal bhi badal sakta hai,
Ho sake tum se to tum mujh pe bharosa na karo,
Kirchiya tute huye aks ki chubh jayangi,
Aur kuch roz abhi aaina dekha na karo,
Ajnabi lagne lage khud tumhe apna wajood,
Apne din raat ko itna bhi akela na karo,
Khowab bachho ke khelono ki tarah hote hai,
Khowab dekha na karo, khowab dikhaya na karo,
Be kheyali me kabhi ungliya jal jayengi,
Raakh gujre huye lamho ko kuredah na karo....!
No comments:
Post a Comment